Main musafir
hun musafir main mera safar hi meri manzil hai chal rha hun ek pagdandi pe ek taraf daiya to ek taraf daldal hai lekin hausala nahi hai toota mera kyunki mujhe to sahil ki talaash hai yuh dar to samundar ka bhi hai iska athah roop darata hai mujhe lekin khushi is baat ki hai ki main kinare pe hun, aur us doobte sooraj se pooch rha hun ki aakhir kya hai is samandar k andar sooraj bhi maano doobte hue keh rha ho, ki uthro paani mei bina doobe ehsaas kaise hoga iske roop ka, iske gehraiyon ka soch rha hun hun, ek baar doob k dekhta hun, ki ekbaar doob k dekhun pta to lage ki doob k jeene ka ehsaas kya hota hai isiliye doob rha hun main, darr to ab bhi hai, lekin maut ka nahi, gumnami ka ki kahin ye sooraj bhula na de mujhe aur kal fir na uthe , kisi aur ko doobane ko lekin shayad ab doobne ki khushi bhi hai, kyuni mera sooraj to mere sath doob gya. ab kal naya savera hoga mera sooraj mere hi saath hoga intazaar jiska tha mujhe wo falak mere saath hoga ...