Main musafir
hun musafir main
mera safar hi meri manzil hai
chal rha hun ek pagdandi pe
ek taraf daiya to ek taraf daldal hai
lekin hausala nahi hai toota mera
kyunki mujhe to sahil ki talaash hai
yuh dar to samundar ka bhi hai
iska athah roop darata hai mujhe
lekin khushi is baat ki hai
ki main kinare pe hun,
aur us doobte sooraj se pooch rha hun
ki aakhir kya hai is samandar k andar
sooraj bhi maano doobte hue keh rha ho,
ki uthro paani mei
bina doobe ehsaas kaise hoga
iske roop ka, iske gehraiyon ka
soch rha hun hun,
ek baar doob k dekhta hun,
ki ekbaar doob k dekhun
pta to lage
ki doob k jeene ka ehsaas kya hota hai
isiliye doob rha hun main,
darr to ab bhi hai,
lekin maut ka nahi, gumnami ka
ki kahin ye sooraj bhula na de mujhe
aur kal fir na uthe , kisi aur ko doobane ko
lekin shayad ab doobne ki khushi bhi hai,
kyuni mera sooraj to mere sath doob gya.
ab kal naya savera hoga
mera sooraj mere hi saath hoga
intazaar jiska tha mujhe
wo falak mere saath hoga
milunga us sooraj se bhi,
aur kal jaunga uski tapish mei main
kyunki wo sooraj bhi mera hoga aur wo kinara bhi mera hoga
mera safar hi meri manzil hai
chal rha hun ek pagdandi pe
ek taraf daiya to ek taraf daldal hai
lekin hausala nahi hai toota mera
kyunki mujhe to sahil ki talaash hai
yuh dar to samundar ka bhi hai
iska athah roop darata hai mujhe
lekin khushi is baat ki hai
ki main kinare pe hun,
aur us doobte sooraj se pooch rha hun
ki aakhir kya hai is samandar k andar
sooraj bhi maano doobte hue keh rha ho,
ki uthro paani mei
bina doobe ehsaas kaise hoga
iske roop ka, iske gehraiyon ka
soch rha hun hun,
ek baar doob k dekhta hun,
ki ekbaar doob k dekhun
pta to lage
ki doob k jeene ka ehsaas kya hota hai
isiliye doob rha hun main,
darr to ab bhi hai,
lekin maut ka nahi, gumnami ka
ki kahin ye sooraj bhula na de mujhe
aur kal fir na uthe , kisi aur ko doobane ko
lekin shayad ab doobne ki khushi bhi hai,
kyuni mera sooraj to mere sath doob gya.
ab kal naya savera hoga
mera sooraj mere hi saath hoga
intazaar jiska tha mujhe
wo falak mere saath hoga
milunga us sooraj se bhi,
aur kal jaunga uski tapish mei main
kyunki wo sooraj bhi mera hoga aur wo kinara bhi mera hoga
Comments
Post a Comment